Sep 20, 2011

Dil Akhir Tu Kyun Rota Hai

dil aakhir tu kyun rota hai
sab kuch manchaha thode hota hai
sard mausam mein bhi dhoop khilite hai
lekin barf ka bhi wohi mausam hota hai

patjhad ke baad he bahar aate hai
kamsin alsaye se kali bhi ek din phool ban muskati hai
sookh kar gir jana uska maksad nahi
lekin bahar ke liye woh hota hai
kya vrikhsha kabhi rota hai

Sapna bhi to ek haqekat hota hai
Jaise har kahani ka manjar hota hai
Kismat ke panne humne khud na likhe ho
lekin himmat se bahut kuch hota hai

dil, tu phir bhi rota hai?

Inspired by the legendary Javed Akhtar's poem with the similar title. Last evening while I was undoing my laces the idea just ran through my mind and here it is the poem.

 

1 comment:

Sudeep said...

Dil kyun na roye, aasoon kyun na bahe! Dil na hota toh socho kya hota, Dimag lagate toh kya hota! Dil ko rone do, khushi ya ghum, har tatva samajne do!