Oct 15, 2004

kal ki rat...;-) YESTERDAY'S NIGHT

THIS IS THE MAIL I WROTE TO THE FRIENDS IN THE MORNING AS FIRST THING.....

gud morning everyone
in the headlines today....

BANGALORE MEIN FLOODS CLAIM MANY VEHICLES LIFE--Mr. DEPENDABLE COMES FOR RESCUE
--from horse's mouth


Kal ki baarish mein ek nale ke sameep hum pahuche jo ki road ke neeche se behta hai lekin..hume dekh kar usme ufaan aa gaya..aur hum kamar tak paani mein khade the..aur humari bechari kinetic honda aadhi paani mein thi.
Mauke ki nazaquat ko dekhte huye jab hum ghar aur office se kareeb 7-7 km dur the..hum ne road kahu ya nala, jo bhi hai pe paidal chalna shuru kiya....aur kareeb 2 km paani mein poore bheegete huye gaye chalte gaye....phir humne mr.dependable ko phone lagaya.....aur EUREKA

Woh hume bacha ke le gaye ek mechanic ke paas...jisne humara kinetic theek kar diya..is beech humne thand se bachne ke liye bangalore ka poora lutf lete huyi, ek bacardi ka large mara....aur kareeb 1 hr ke mehnat ke baad humara vahan sahi hua

Akkhir keshu bhai ...sab jagah dependable hai..bangalore ho ya kanpur...

aaj auto se aana pada hai office....thakaan se chur chur hun..aur baaki aaj se vrat chalu hai is liye ...niramish bhojan aur sura-pan bandh..

JAI MATA KI
dobi

This was the first experience of the helpnessness man faces against the nature's forces. We have to agree that whatever we claim and take pride of is nothing when pittied against the Mother Nature

myTune: HINDI MUSIC- Phalguni Pathak's Mujhe Kuch Hone Laga
myMood:Wish Some One Close Was Online
Just One Sentense: yesterday's night was poori FILMI.

No comments: